Zakir Khan Instagram – Chand Jisse apni saari qaynaat maan kar deewana hua phirta raha. Usse kabhi yeh ehsaas hi Nahi hua ki woh dharti, khud kissi Suraj Ke prem me parikrama karti phir rahi hai.
Ek Chandrama hai jiske liye dharti hi prem hai, shayad usse bhitar se maloom hai ki woh dharti ka hai par dharti uski nahi. Magar phir bhi woh rukta Nahi, thakta nahi. Ishq me bahut zor hota bas yahi khud ko keh kar woh kisi karishme Ke intazaar me apni saari zindagi guzaar raha hai.
Ek dharti hai jisse chandrama ka prem pyara toh hai. Magar uska ishq usse suraj ird gird ghumne par mujboor karta hai, yeh aisi lachari hai jiske bare me usse khud maloom tak nahi hoga. Chand ki mahobbat aachi hai phir bhi woh Suraj Ke teesre ghere me hi khud ko jayada mukammal mehsus karti hai.
Aur ek Suraj hai, jiski tanhai ka andaza ass-pass ghumte deewano se Nahi lagaya ja sakta. Uske Apne hi virah ka taap Itna tez hai ki woh khud jo jalta hi hai aur nazeek aata koi bhi zulas sakta hai. Uske ghere sabko Sath rakhte hai par pass koi Nahi aata. Bhetar ki aag bas wahi janta hai.
Hum sab, sab hai.
Kahin par Chand.
Kahin par dharti.
Aur kisi Ke liye Suraj.
Apni tarah se sab adhure hai, apni tarah se sab poore hai. | Posted on 04/Aug/2022 17:22:53